“Cigarette”
Uske ane pe humesha cigarette paon mein pehne joote k neeche be-rehmi se masal kr ek do lambi gehri saans liye uske pas chal prta Tha..
Maloom Tha k use sakht na-psnd Hai.. Haan yehi.. cigarette ki mehek.. mehek? Nhi… Shayad bad’bu… Haan use sakht sakht chirchirahat mehsus hoti thi… Aas pass Jb bhi kisi ko cigarette ka kasshh lgate dekhe… Use maloom tha k cigarette mein bhi sulgata hun… Labon se lga kr usey nichor jata hun… Seene mein jazb krleta hun… Pr na-jane kyun kbhi mjhse nhi kehti… “Mjhe nafrat Hai iske dhuwen se, mjhe chirchirahat Hai iski bad’bu se”
Mein tanhai mein aksr cigarette k dhuwen mein khud ko ghair lun tb yaad ata tha… Jb wo kisi kassh lgane wale ko dekh kr mu basorti Hui kehti thi “unh’huu.. ye kese pagal log Hain, inhe apni Zindagi ki to kuch prwa nhi, pr Sath hi unki bhi kuch prwa nhi jinhe apne bad ye tanha chor jayenge”
Jaibon me apne mulayem hath smbhaley, sardi ki shamon mein lambi sarak pr chalte hue wo isi tarah k kayi hikarat amaiz jumle un dhuwon ko Janam dene wale logon pr kasti jati thi…
Ek janib to paidal sang chalti Hui Mera safar wo baant leti thi, jb k dusri janib Moujood Meri jaib ko apni araam gaah bnaye mere naam ki cigarette is intezar mein rehti thien, k kb wo Rasta badley or mein unhe jaib se nikal kr labon tk le jaon!
Mjhe herat thi.. kyun k… Mein jaanta Tha… Mein pore wasooq se janta tha.. k use ilm Hai… Usey Ilm Hai k dayen janib ki jaib mein Jo Thora bht wazn hai, wo sone ka koi biscuit nhi… Balke Meri masoom dhuwan ban kr mere khoon me utar Jane wali cigarettes ka sunehra dabba Hai… Mjhe herat thi, k is Ilm k bawajood wo kbhi nhi boli… “Mjhe tumhara cigarette sulgana sakht na-psnd Hai” … Na kbhi ye boli… K… “Mjhe tumhare pas se ane wali us dhuwen ki bad’bu se chichirahat mehsus hoti Hai, jise tum sukoon ka baais smjhte ho”
Wo kbhi nhi boli…. Ek br bhi nhi….!
Pr aj? Aj kese use khayal Aya? Usne kese Socha k mjhe yak’dam Yun hawas baakhta chor Jaye?
Chalte chalte, sardi ki aj phir ek sard shaam Jb andhere se neela Amber siyaah siyaahi ki lapait me aa chuka tha, darakht ki aarh le kr jhatke se mera kandha darakht ki pusht pr de mara..
Us me waqai itni jaan thi? Kya waqai wo wohi nazuk, mulayem, reshmi se haath is qadar quwat se sarshaar the k Mera kandha, mere wajood ka bhari hissa.. itni asani se wo darakht se lga Jaye??
Ahh! Wo zaroor koi sehar’angaizi thi!
Kehne lgi! “Aj k bad ‘mein’…? Ya to jaib mein Moujood sulaghne k intezar mein betha ye cigarette ka be-jaan dabba?”
Uski khichi khichi si ankhen mjh pr gharhi huin thien.. be-sakhta zuban k hilne or honton ki junbish ne bus itna kaha…
“Tum….”
Lamhe bhar ki dair Hui, k labon se cigarette ka nasha bhula betha.. uske gulabi honton ka nasha is qadar sheeren hoga iska mjhe ratti bhar bhi gumaan na Tha.. usne is taizi se honton pr apne hont rakhe, or Sara nasha mere seene mein zehr ki manind utaar Diya k darakht ka patta Jo qabal is fail k Hawa k tez jhonke se jhoom rha tha, jhoomta hi raha! Or uske labon ka nasha awar zehr Sara ka Sara gard mere khoon tk se nithaar gya!!
Mjhse door hat’te hue shararti muskaan unhi sheeren labon pe sajaye kehne lgi.. “Aj k bad bhi.. agar cigarette.. mein sukoo’n aye to Mera naam o nishaa’n badal Dena!”
Jese usey sou feesad aitmaad Tha, mere labb cigarette ka nasha bhool chuke Hain.. bhula chuke Hain!
Mein ab smjha! Wo kbhi mjhse kyun kuch na boli!!!
#writer #written #writtenbyheartcore #sufi #hasan #ranjha #writer #written
WTITTEN BY: Sufi Hasan Ranjha Writer#written